choti si narazgi

aisa koyi mukammal rishta nahi
jisme thodi anban na ho
aisa jahan mein koyi nahi
jiska koyi dosh na ho
mile jo kabhi sachhi dosti
mana lo yaar rutha jo ho
mazilen hai saath chalne ke liye
rahon mein koyi gila na ho
matlabi duniya hai, iska kya bharosa
yeh nemat kal ho na ho