Khayal Part - 2

kuch kehne se pehle hazaar baar socha
kuch kehne ke hazaar tareeke soche
kehne se pehle ek aah hi bhari thi
ki toofan aa gaya
alfaaz tham gaye
kahin ghum ho gaye
chup rehna behtar hai hazaar baar socha
chup rehne ke hazaar tareeke soche

....phir kuch kehne se pehle hazaar baar socha

aur yeh silsila ta umr chalta raha...
ab dil kholke kehte hai
na kehne ke pehle na tareeke sochte hai
kabr mein to cheekne pe bhi toofan nahi aate
pehle bhi goonj uthti thi aaj bhi uthi hai

phir fark kya hai...

pehle karwan hua karta tha aur tanhai ka alam
Ab tanhai hai aur yaadon ka karwan...

The Crux

What's on my mind is Continuous Contradictions in Communications making Concerns turn into Callousness not out of Compulsion but out of Confused Clarity in Choosing Correctly...was this Comprehensible?