....

bekhudi jashne barbadi ki hai
haathon mein to khali jaam hai
yaadon ke shor ki mehfil hai
khamoshi to yoohin badnaam hai

Ehsaas



Jhuriyon aur safed balon ne hume yeh sikhaya hai
Kis tarah humne apne waqt ko gavaya hai
Doosron ke adhoore sapno ko apnaya hai
Ilzamo ki kabr mein khud ko dafnaya hai
Aah dab gayi, Rooh tadapti rahi, fana ho gaye,
Phir bhi dost ne kaha tumne kaunsa farz nibhaya hai?